Raste chalte chalte
ek daur ho gaya,
ek umr ho gayi,
ek manzar ho gaya,
or tamam kasse go gaye.


Raste chalte chalte
har rang mila,
milta chala gaya,
har rang me mai,
rangta chala gaya.



Raste chalte chalte
baziya lagi,
lagata chala gaya,
kabhi jeet bhi gaya,
kabhi haar bhi gaya.




Raste chalte chalte
kal ek musafir se, 
bair ho gaya,
sang me chalte chalte,
vo gair ho gaya.




Aaj dil yun kiya,
k rasta bal me du,
aaj yakin mujhe hua,
raste badalte nahi,
rahi badal gaye.
Raste abhi bhi hai,
khadde nikal gaye.

Comments

Popular Posts