Lafz bun kar zahar banane walo

Lafz bun kar zahar banane walo
gard ki tarah ud jane walo
Aazad hum bhi hai
Barbaad hum bhi hai

Kal kisi bacche ko jab
bauraye kutte ne kata tha
na roti thi
na aata tha

zameen ki dhool ne hi ilaaj kar dala uska
thandi hawaon ne pet bhar dala uska

aaj ek bauraae insaan ne
insaan ko kaat dala
Adha adha
na koi saboot na badha

zameen me mil jana naseeb tha uska
par is tarah mar jana betarteeb tha uska

Lafz bun kar zahar banane walo
Zinda kwabon ko kha jane walo
Pareshaan hum bhi hai
Insaan hum bhi hai....

                                                            _ jugnu

Comments

Popular Posts