Ye Kaisi Sharat Khuda Tune Kar Di


Shararat ye kaisi khuda tune kar di,
abhi muskuraya, abhi ankhe bhar di.

 ya mujhko banata kuch or sakt,
ya na tu banata ye palchin ye vakht.

is dil me tune ye dhadkan kyo bhar di,
shararat ye kaisi khuda tune kar di.

ya naak se upar, jata na banata,
ya mujko pani me tairna na sikhata.

sahare ko kashti tinka bhar di,
shararat ye kaisi khuda tune kar di.

milana tha tune, milata raha tu,
sapno ko mere rangta raha tu.

chand lafzo se meri kismat badal di,
sharat ye kaisi khuda tune kar di.

ab itni jo ki hai, ek or kar de,
mujhe tu bula le, zindgi ke safar se.

ye meri kwahish zahir mene kar di,
abhi muskuraya, abhi ankhe bhar di.
is dil me tune, dhadkan kyo bhar di,
sahare ko kashti tinka bhar di,
ye kaisi shararat khuda tune kar di....................

Comments

Popular Posts